Mining Pools ki Wazahat

Mining Pools ki Wazahat

Darmiyani
Update shuda Sep 13, 2026
7m

Eham Nukaat

  • Mining pools infaradi miners ko apni computing power ko yakja karne aur block ke inamat ko apne hisse ke mutabiq taqseem karne ki sahulat dete hain, jis se akele mining karne ke muqable mein ziada mustaqil aamdani hasil hoti hai.

  • Payout ke amoomi tareeqon mein Pay-Per-Share (PPS), Full Pay-Per-Share (FPPS), aur Pay-Per-Last-N-Shares (PPLNS) shamil hain, aur in mein mustehkam aamdani aur pool fees ke lihaz se har tareeqay ke alag alag faide aur nuqsanaat hote hain.

  • Stratum V2 ek next-generation mining protocol hai jis ka maqsad infaradi miners ko pool operators par bharosa karne ke bajaye apne block templates muntakhib karne ki sahulat de kar decentralization ko behtar banana hai.

Binance Academy ke courses ka banner

Taaruf

Cryptocurrency mining, proof of work blockchains ki security ka eham hissa hai. Chand khasoosiyaat ke zariye hash ka hisaab laga kar, participants kisi markazi authority ki zarurat ke baghair blockchain network ko mehfooz banane mein madad dete hain.

Jab Bitcoin 2009 mein pehli baar launch hua, to aam PC rakhne wala koi bhi shakhs agle block ke liye durust hash ka andaza lagane ke hawale se deegar miners se muqabla kar sakta tha. Is ki wajah yeh thi keh mining ziada mushkil nahi thi aur network par ziada hash rate mojood nahi tha. Is liye, naye blocks shamil karne ke liye aap ko makhsoos hardware ki zarurat nahi hoti thi.

Jaise jaise network phailta gaya, miners ne behtar hardware hasil karne ke liye ek doosre ka muqabla karne lag gaye. CPUs, GPUs aur FPGAs ko baari baari istemal karne ke baad, bitcoin miners ne ASICs (Application-Specific Integrated Circuit) ko apna liya. Yeh devices sirf hashes ka hisab lagane ke liye banai gayi hain, is liye yeh mining mein nihayat moassar sabit hoti hain lekin aam computing tasks ke liye mozoon nahi hain.

Chunkeh ASICs bohat taqatwar hain, is liye Bitcoin mining ke liye doosri qisam ka hardware istemal karna ab bohat kam ho gaya hai. Lekin, taqatwar ASICs hone ke bawajood, kisi ek miner ke liye akele koi block talash karne ka imkan bohat kam hota hai kiun keh network ke majmui hash rate bohat zada hai. Yahan mining pools ka istemal ehmiyat ikhtiyar kar jata hai.

Mining Pool Se Kia Muraad Hai?

Mining pool se muraad miners ka ek aesa group hota hai jo sab ki computing power ko jama karta hai aur is ke zariye se hasil hone wale Bitcoin block ke inamat ko apne apne share ke hisaab se taqseem kiya jata hai. Bajaye is ke keh har miner akele kaam kare aur block milne ka imakan bhi bohat kam ho, pool ke zariye ziada blocks milte hain aur inamat ko hissa lene wale tamam members mein un ke hisse ke mutabiq taqseem kiya jata hai.

Ek aam si misaal mulahiza karein: aap ke paas network ki kul hashing power ka 0.1% mojood hai. Akele mining karte huye, ho sakta hai keh aap aadad-o-shumar ke mutabiq hafte mein ek block dhoond karein, lekin haqeeqat mein natija bohat ghair-yaqeeni hota hai. Ho sakta hai keh ap hafton ya mahinon tak kuch bhi talash na kar sakein. Agar aap aise pool mein shamil ho jain jis ke degar miners ke paas kul mila kar network ka 1% mojood ho, to pool ziada baar blocks talash kare ga, aur aap ko apni shirakat ke mutabiq baqaidgi se hissa milta rahe ga.

Mining pools wasee paimane par istemal hote hain kiun keh yeh ziada mutawaqqa aamdani ka zariya faraham karte hain. April 2024 mein halving ke baad block ki subsidy 3.125 BTC tak kam ho gai (tamam blocks mein har din taqreeban 450 BTC jaari hote hain), is ke baad kam munafe par kaam karne wale miners ke liye mustaqil aamdani hasil karna mazeed eham ho gaya.

Mining Pools Kis Tarah Kaam Karte Hain?

Aam tor par mining pool mein ek coordinator (pool operator) mojood hota hai jo miners ko is tarah munazzam karta hai keh woh masle ke mukhtalif hisson par kaam kar sakein. Coordinator mukhtalif nonce ranges muqarrar karta hai taakeh miners bilkul ek jaise blocks banane ki koshish mein apni hash power zaya na kar dein.

Coordinator inamaat ko taqseem kar ke unhein ada karne ka bhi zimmedar hota hai. Miners yeh sabit karne ke liye "shares" jama karwate hain keh woh kaam kar rahe hain. Share aesa hash hota hai jo pool ki muqarrar karda hadd se nisbatan kam mushkil satah par poora utarta hai, lekin zaruri nahi keh yeh network ke liye matlooba mayaar ke mutabiq durust ho. Pool in shares ka record rakhta hai taakeh har miner ki shirakat ka andaza lagaya ja sakay.

Jab pool kamyabi se ek block mine karta hai, to pool ke payout ki scheme aur kaam mein har miner ke hissay ke mutabiq inaam (block ki subsidy aur transaction fees) ko participants mein taqseem kar diya jata hai.

Mining Pool ke Payout ke Tareeqay

Pay-Per-Share (PPS)

PPS mein, aap apne jama karwaye gaye har durust share ke iwaz ek tay shuda payout hasil karte hain, chahe pool ko asal mein koi block mile ya nahi. Pool operator qeemat mein utaar charhao ka khatra khud bardasht karta hai, isi liye PPS pools mein aam tor par ziada fees charge ki jati hai. Is tareeqay se miners ko sab se ziada mutawaqqa aamdani milti hai.

Full Pay-Per-Share (FPPS)

FPPS, block subsidy ke ilawa transaction fees ka andazay par mabni hissa shamil kar ke PPS model ko mazeed wasee kar deta hai. Pool har block ke hissab se mutawaqqa kul inaam ka hisaab lagata hai (3.125 BTC subsidy aur andazay ke mutabiq transaction fees) aur miners ko har share ke liye is hisab se adaigi karta hai keh jaise blocks mutawaqqa rate par talash kiye gaye hon. FPPS guzishta chand saalon mein barre pools ke payout ka sab se aam tareeqa ban gaya hai kiun keh idara jati satah par mining karne wale miners mustehkam aur mutawaqqe cash flow ko tarjeeh dete hain.

Pay-Per-Last-N-Shares (PPLNS)

PPS ke baraks, PPLNS miners ko sirf us waqt inaam deta hai jab pool kamyabi se ek block mine kar leta hai. Jab koi block talash kar liya jata hai, to pool jama karwaye gaye aakhri N shares ko check karta hai (yahan N ki miqdaar har pool ke mutabiq mukhtalif hoti hai). Aap ka payout nikalne ke liye in N shares mein aap ke hisse ko block ke inaam se multiply kiya jata hai aur phir us mein se operator ki fee minus kar di jati hai.

PPLNS pools aam tor par PPS pools ke muqable mein kam fees charge karte hain, lekin miners ko aamdani mein ziada utaar charhao ka samna karna parta hai. Yeh tareeqa pool hopping ki hosla shikni karta hai kiun keh inamat foran milne wale shares ke bajaye musalsal hissa lene se munsalik hote hain.

Payout ka tareeqay ka intikhab karna

FPPS aur PPLNS mein se kisi ek ka intikhab karna aap ki tarjeehat par munhasir hai. FPPS mein thori si ziada lagat par mustehkam aamdani milti hai, jis wajah se yeh un miners ke liye munasib hai jinhen bijli aur qarz ki adaigi jaise tay shuda kharchon ko pura karne ke liye mutawaqqa aamdani darkar hoti hai. PPLNS mein kam fees lagti hai, lekin munafa mukhtalif hota hai, is liye yeh un miners ke liye behtar hai jo aamdani mein kammi baishi bardasht kar sakte hain.

Kia Mining Pools Decentralization ke liye Khatra Hain?

Chunkeh Bitcoin ke hash rate ek barra hissa bohat thore se pools ke paas hai, is liye centralization ke hawale se khadshaat durust hain. Agar koi ek pool ya gath jorh se ban'ne wala pools ka group hash rate ka 51% jama kar le, to woh nazriati tor par 51% attack shuru kar sakte hain, jis se woh transactions ko rok sakte hain ya haal hi mein ki gayi transactions ko wapis kar sakte hain.

Amli tor par, kai awamil is khatre ko kam karte hain. Pehla, pool ke andar mojood infaradi miners aam tor par apne hardware ke khud maalik hote hain aur usay khud control karte hain, yaani agar woh pool operator ke faislon se mutafiq na hon to kisi bhi waqt dusre pool mein muntaqil ho sakte hain. Dusra, kamyab attack ki soorat Bitcoin ki qeemat girne ka imkaan hota hai, jis se attacker ki apni holdings aur hardware mein sarmaya doob jaye ga. Teesra, wasee tar community pool sizes par gehri nazar rakhti hai aur tareekhi tor par un pools par dabao daalti rahi hai jo zarurat se ziada barh jate hain.

Is ke bawajood, pool ki satah par centralization ka matlab hai keh pool operators ke paas is hawale se khaasa ikhtiyar mojood hota hai keh kis qisam ka block tayar karna hai, aur woh faisla karte hain ke kin transactions ko shamil ya kharij karna hai. Yeh soorat e haal censorship ka mumkina rasta paida karti hai, khaas tor par un ilaqon mein jahan regulators qanooni tor par jayiz pools par kuch transactions ko filter karne ke liye dabao dal sakte hain.

Stratum V2 aur Mining Decentralization

Stratum V2 ek next-generation mining protocol hai jo riwayati mining pools se mutaliq centralization ke kuch khadshaat ko dur karne ke liye design kiya gaya hai. Is ki sab se eham khasoosiat "job negotiation" hai, jo infaradi miners ko pool operator ke diye huwe kisi bhi template ko qabool karne ke bajaye apne block templates khud tayar karne ki sahulat deti hai.

Purane Stratum V1 protocol ke tehat (jise aksar pools abb bhi istemal karte hain), pool operator block template tayar karta hai aur faisla karta hai keh kin transactions ko shamil karna hai. Miners sirf milne wale template par hashes ka hisab lagate hain. Stratum V2 ki job negotiation ke zariye, miners ko pool se payouts bhi milte rehte hain aur woh is baat ka intikhab kar sakte hain keh un ke blocks mein kon si transactions shamil hon.

Stratum V2 ki izafi behtariyon mein ziada moassar binary protocol (bandwidth overhead kam karna), pehle se tayar karda encryption (hashrate hijacking se hifazat), aur miners aur pools ke darmiyan behtar manzuri shamil hai.

Stratum V2 ko apnane ka amal aahista aahista barh raha hai. Kuch pools aur firmware vendors ne transport layer se mutaliq behtariyon ka nifaz kiya hai, lekin mukammal job negotiation support filhal mehdood hai. Kai barre pool operators is khasoosiat ko apnane mein sust rawi ka muzahira kar rahe hain kiun keh is se block ki tashkeel par un ka control kam ho jata hai. Translation proxies bhi mojood hain jo purane ASICs ke hamil miners (jo sirf Stratum V1 samajhte hain) ko V2 pools se connect hone deti hain, jis se miners ko hardware tabdeel kiye baghair aahista aahista isay apnane ki sahulat milti hai.

FAQ

Bitcoin block ka mojooda inaam kitna hai?

April 2024 ki halving ke baad, Bitcoin block ka inaam har block ke liye 3.125 BTC hai. Yeh inaam block subsidy (3.125 BTC) aur transaction fees ke darmiyan taqseem hota hai, jo network congestion ke mutabiq badalti rehti hain. Taqreeban 144 blocks rozana banne ki soorat mein, mining ke zariye har din taqreeban 450 BTC jaari kiye jate hain.

Main mining pool ka intikhab kaise karun?

Eham awamil mein shamil hain: payout ka tareeqa (istehkam ke liye FPPS, kam fees ke liye PPLNS), pool fee ki percentage, aap ke maqam tak server mein takheer (jo stale share rates ko mutasir karti hai), kam se kam payout ki hadd, custodial ya non-custodial payouts, aur transaction ki censorship aur template ki shafafiyat ke hawale se pool ki policies. Kuch hafton tak do pools ko ek sath aazmane se aap haqeeqi aamdani ka mawazna kar sakte hain.

Kia mining pools Bitcoin ko control karte hain?

Mining pools apne sath munsalik hardware ke maalik khud nahi hote; balkeh infaradi miners hote hain. Miners jab chahein kisi bhi waqt apni hash power dusre pool ki taraf muntaqil kar sakte hain. Agarcheh pool operators ko aarzi tor par yeh ikhtiyar hasil hota hai keh woh block ke tempelate ki tayari mein asar andaz ho sakein, lekin market mein hamesha muqabla jaari rehne aur miners ke pool chorne ke khatre ki wajah se un ka ikhtiyar mehdood hota hai.

Stratum V2 kia hai aur yeh kiun eham hai?

Stratum V2 ek aesa jadeed mining communication protocol hai jo infaradi miners ko pool operators par inhisar karne ke bajaye apne block templates banane ki sahulat deta hai. Is se pools ki taraf se transactions ko shamil karne ke faisle ki wajah se paida hone wala centralization ka khatra kam hota hai aur Bitcoin network mein censorship ke khilaf muzahmat behtar ho sakti hai.

Ikhtitami Khayalat

Mining pools ne Bitcoin mining ko infaradi koshish se badal kar ijtimai sargarmi mein tabdeel kar diya, jis se miners ko inamat taqseem karne ke badle ziada mutawaqqa aamdani milti hai. Is ka manfi pehlu yeh hai keh ab pool operators ki choti si tadad network ki block production par khaasa asar daalti hai.

Mazeed Mutala